Kisi ke dil ke andar ab mera ghar kyon nahi hota.
Hame bhi pyar ye aakhir mayassar kyon nahi hota.
Ye phir kyon kaanch ke manind reheta hai agar dil me,
Mosalsal thes lagni hai to patthar kyon nahi hota.
Jo oron ke liye yun to kae khoti banata hai,
Usi insaan ke sir per hee chappar kyon nahi hota.
Wo jiske ghar ka har baccha bada buda mujahid hai,
Mera us saks ke jaisa muqaddar kyon nahi hota.
Mere kuch yaar kehte hai mera har sher behtar hai,
Mujhe ye fikar ki behtar se behtar kyon nahi hota.