Dil me basi hui hasrat ko baahar karna hai
Ab to kaise bhi khud ko patthar karna hai
Ansu.tanhai. bekali. Bebasi. Jo v diya usne
Usko lautakar ye sab hisaab barabar karna hai
Dua v karunga padi zaroorat to wajifa v karunga
Par kaise v azad tujse apna muqaddar karna hai
Manzilen to ab qadam choomengi insha Allah
Bs ab apne alawa na kisi ko raahbar karna hai
Ab nahi armaan k bahut kuch ek sath mile "uves"
Ab qatra qatra jod k khud ko samandar karna hai