Khubsurat sa koi nazuk bahana chahiye.
Dil ki khatir shok nazron ka nishana chahiye.
Koe yon hee ban nahin jaata hai manzoor-e-nazar,
Dil me ghar karne ki khatir ek zamana chahiye.
Muddaton ashkon se daman ko bhigoti aayi hai.
Zindagi ab tujh ko thoda muskurana chahiye.
Chhod kar duniya ki fikar aye dil e nadan tujhe,
Jheel si aankhon mein unki doob jaana chahiye.
Silsila hasne ka rone ka yunhi chalta rahe,
Maan jaaye koi to khud rooth jaana chahiye