Baat sach kehne kee bebaak zubaan paae hai,
Saare apnon se isee baat par ladaai hai.
Zikr tum karte ho gardan ko jhuka ke jinka,
Unse to apni bhi barason se shanaasaee hai.
Maaf karte hee rahe hum bewafayi ab tak,
Guzre unki gali se chot ubhar aayi hai.
Usko dekhoon to mile dil ko sukoon sa kitna
Mera dilabar to nahi haan mera saudaae hai.
Aandhiyon hosla tum tod na paogee ab,
Meri himmat to mere jism ki parchhai hai.
Khwaab humne to kabhi dekhe nahin the unke,
Dil mein tasveer ye unkee kahaan se aayi hai.
saudaee = ishq mein deewana ya paagal ho jaana
shanaasaee = jaan pehchaan