Kuch naya kaam naye tour se karne ke lea,
Log mouka hee nahi dete sudharne ke lea.
Jaao jaa kar ke garibon ke dilon mein jhanko,
Kitni bechain tamannaye hain, marne ke lea.
Us pe marte ho to, phir duniya ki parwah kaisy,
Ishq hota hai miyaan had se guzarne ke lea.
Koe aasaani se phankaar nahi banta hai,
Muddate chaiye is fhan ko nikharne ke lea.
Muhu utha kar ke phir aae hai ye tauba tauba,
Shab judai ki mere ghar me, therne ke lea.
Kisi doshija ki zulfein ye nahi kismat hai,
Waqt lagta hai bahut, isko sawarne ke lea.
Aaj is baat ka ehsaas hua hai mujhko,
Khwaab Mohsin the mere, sirf bikharne ke lea.