Husn ik aaftab jaisa hai.
Us pe rukh mahtab jaisa hai.
Log kahte hai usko shola badan,
Wo magar ek gulab jaisa hai.
Bin tere raat hai qayamat si,
Bin tere din azaab jaisa hai.
Teri baaton mein hai nashila pan,
Tera lahja sharab jaisa hai.
Kuch bhi aisa nahi hai duniya me,
Tera husn o shabab jaisa hai.
Main agar ek sawal jaisa hu,
To sanam tu jawab jaisa hai.
Ishq karte raho aye deewano,
Ishq karna sawab jaisa hai.
Bhoot sar par tera chadha jab se,
Haal khana kharab jaisa hai.
Chasham e ulfat se dekhiye padh kar,
Mera chehra kitab jaisa hai.
Shayeri ka bhi shauq aye "mohsin",
Ek nasha sharab jaisa hai.