Jo raahe haq par hai jaan apni lutane wale.
Unko palkon pe bithate hain zamane wale.
Kheench kar ghar se wahi katl kiye jate hain,
Darr ke chup jate hain jo jaan bachane wale.
Uske apne bhi makaan solon ki jad par honge,
Yeh kahan sochte hain aag lagane wale.
Waqt jab badla toh har simt se wo toot gaye,
Apne qadmon pe gareebon ko jhukaane waale.
Jhank kar apni garewaan dekhen to kabhi,
Aaina sab ko nasihat ka dikhaane waale.
Ye darinde hai inhe kehna na insaan kabhi,
Maut ki god mein bachon ko sulane waale.