Dohara raha huun baat puraani kahi hui.
Tashveer tere ghar me thi meri lagi hui.
In bad naseeb aankhon ne dekhi hai baar baar,
Deewar me gareeb ki khwaish chuni hui.
Taaza gazal zaruri hai mhefil ke waste,
Sunta nahiin hai koe , dubara suni hui.
Muddat se koe dooshraa rheta hai ham nahi,
Darwaze par hamari hai takhti lagi hui..
Jab tak hai doar haath me tab tak ka khel hai,
Dekhi to hongi tum ne patangen kati hui.
Jis ki judai ne mujhe shayar bana diya,
Padhta hoon main ghazal bhi uski likhi hui.
Lagta hai jaise ghar men nahi hun me qaid hon,
Milti hai rotiyan bhi jahan par gini hui.
Saanson ke aane jaane pe chalta hai kaarobaar,
chuu ta nahi hai koe bhi haandi jlee hui.
ye zakhm ka nishaan hai jaayega der se,
Chhoot ti nahi hai jaldi se mhendi lagi hui.
BY :
Munawwar Rana