Shayari, Urdu Poetry, Urdu Shayari

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Romantic Shayari


Zamaane ki nazar se bach kar soya tha.
Mere seene pe sir rakh kar soya tha.

Yaad aata hai wo manzar to nigahen chamak uthtin hain,
Jab mera mheboob mujhse lipat kar soya tha.

Kar raha tha pyaar kuch is ada ke saath,
Kabhi kareeb aake to kabhi door hat kar soya tha.

Haaton se haath labon se lab mila rakkhe the usne,
Kuch is tarha wo mujhpe simat kar soya the.

Us raat dekhe the do chaand mene,
Ek aasman me tha, to ek mere kareeb chhath per soya the.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Dard shayari


Ab unhe barsta hua badal accha nahi lagta.
Mujhe unki ankhon me, bikhara hua kajal accha nahi lagta.
Kal talek wo jaan lutate the mujh pagal pe,
Magar aaj unhe, ye pagal accha nahi lagta.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Paigaam Shayari


Tere dar se mery nazar hati nahi.
Jabse juda hoon tujh se mery izzat ghati nahi.

Jo maangna hai aaj maang le khwaja ke dar se tu,
Phele kabhi na itny bheek yanha pe bti nahi.

Jo aata hai wo khaali haath jata nahi kabhi,
Waliyon me mere khwaja sa koe sakhi nahi.

Ahmad raza se jud gaye, to waliyon se Jud Gaye,
Sukr hai khuda ka ki mari hamaari matee nahi.

Khwaja , gous, siddiqeen se ristha jod lo,
Warna huzur khe denge, tum mere ummati nahi.

Jo diwaane hai. Unko hee Mubarak baad hai,
Gustakh-e-khwaja ki to hargij chhati nahi.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Mohabbat Shayari


Na jaane ye kaisy khumari dikhti hai.
Pagal hone ki taiyaari dikhti hai.

Jab se mila hoon tumse mein ae jaane jaan,
Jis simt bhi dekhoon surat tumhari dikhti hai.

Mere haal ko dekh kar, logon ne ye kehe hee diya,
Deewano see ab halat hamari dikhti hai.

Jab se hua hai, ek pal k liye aaram nahi,
Ye ishq to yaaron ek bimari dikhti hai.

Raat ko dekho, subah dekho, shaam ko dekhon,
Jab bhi dekho ae jaane jaan, tu bahut hee pyari dikhti hai.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech