Shayari, Urdu Poetry, Urdu Shayari

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Eid milad un nabi


Na bandook se fhela hai na talwaar se fhela hai.
Dunia me islam, Pyare Mohammad ke kirdaar se fhela hai.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Dard shayari


Apna dard ab kisy se chupaya nahi jaata.
Ek lamha bhi uske bagair, bitaya nahi jaata.
Ek wo hai jo mujhe bhool gaya badi asaani se,
Magar Mujhse wo shaks bhulaya nahi jaata.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Eid milad un nabi


Hum jis haal mein hain, uske liye khud jimmedaar hain k nahi hain.
Aqa jaante hain, hum unke ishq mein giraftaar hain k nahi hain.

Sirf nare lagate hain aur sunnat par amal nahi karte,
Sach batao hum huzur ke gaddar hain k nahi hain.

Huzur se mohabbat ko gunah kehne waale, tu faisla na kar
Khuda khud fainshla kar lega, k hum gunehgar hain k nahi hain

Chehra dekhte hee padne lagenge durood shareef,
Jab farishte kabr me poochenge, batao ye sarkaar hain k nahi hain.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Dard shayari


Wo Mera naam likhna chahta tha apne naam ke peeche.
Magar usne chhod diya mujhko ek anjaan ke peeche.

Mere cehere ki hasi dekh kar mere halaat ka andaaja na lagao,
bahut sa derd chupa hai mery is muskaan ke peeche.

Bus itny see he dastaan mery barbaadi ki,
ke khud ko kar liya tabha hamne ek insaan ke  peeche.

Awara, Majno, diwana kaha jamaane ne,
Kya kuch na suna hamne, is dil-e-nadaan ke peeche.

Mery kaamyaabi ko kismat ka naam na do yaaron,
Bahut si kurbaaniya chupi hai, mere is aaraam ke peeche.

Jab se laai hai "zia"  kuch logo ki sacchai zamane ke saamne,
tab se pad gaye hain kuch log mery jaan ke peeche.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech