eid milad un nabi

eid milad un nabi is a birth of prophet mohammad . People read and share eid milad un nabi shayari with his/her relative and clebrate Jashn e eid milad un nabi shayari.

Eid milad un nabi


Hum jis haal mein hain, uske liye khud jimmedaar hain k nahi hain.
Aqa jaante hain, hum unke ishq mein giraftaar hain k nahi hain.

Sirf nare lagate hain aur sunnat par amal nahi karte,
Sach batao hum huzur ke gaddar hain k nahi hain.

Huzur se mohabbat ko gunah kehne waale, tu faisla na kar
Khuda khud fainshla kar lega, k hum gunehgar hain k nahi hain

Chehra dekhte hee padne lagenge durood shareef,
Jab farishte kabr me poochenge, batao ye sarkaar hain k nahi hain.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Eid milad un nabi


Me to aashiqe nabi hoon,duniya se kya dil lagaya jayega.
Na huzoor sa koi tha, Na hai, aur na hee banaya jayega.

Saleeqai se khade ho jayenge or padne lagenge durood shareef,
Jab qabar me hame sarkaar ka chehra dikhaya jayega.

Kalma nabi ka, Mohabbat nabi ki shart hai,
Har kisi se ye chehra na pehchana jayega,

Sar-E-Mehshar khuda bolega Mohammad se,
Aap jis ki izazat denge usi ko jannat mein bhijaya jayega.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Eid milad un nabi


Dil se kabhi kam na hogi chahat rasool ki.
Jhoom kar manayenge hum amad rasool ki.
Insaan,ginn,malaika bhi samil hai jasn me.
Har koi mana raha hai wiladat rasool ki.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Eid milad un nabi


Na be-akl jayenge na samajhdaar jayenge.
Jannat mein sirf aashiq-e-sarkaar jayenge.
Hum ghar saja rahe hain ye soch soch kar,
Mere ghar pe bhi Aaqa tashreef laayenge.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech