Tumhare hoton pe apne naam ki ummid, ye kahan ki tuk hai.
Tumse bichad ke aaram ki ummid, ye kahan ki tuk hai.
Me sota nahi hun ab raton ko, sochta rehta hun teri baton ko,
Tumes se bhi hai aise kaam ki ummid, ye kahan ki tuk hai.
Kar di unki tareef josh me aaker, laga ajeeb bada hosh me aaker,
Fir bhi unse kuch inaam ki ummid, ye kahan ki tuk hai.
Mehfil me Jo kehna nahi tha WO keh gae, ham sirf unko dekhte reh gae,
Fir bhi unki jubaan pe lagaam ki ummid, ye kahan ki tuk hai.
Mujhko saja do meri khata ki, tohmat na lagao mujhpe we wajha ki
Jo kiya hee nahi us ilzaam ki ummid, ye kahan ki tuk hai.
Uves, ki zindagi kaise kat jaye, dua karo wo nipat jaye uske,
rehte tumhen aaram ki ummid ye kahan ki tuk hai.
BY :
Mohammad Uves