gazal

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Zindagi Shayari


Uski aankhon me utar jaane ko jee chahta hai.
Zindagi dekh ke mar jaane ko jee chata hai.

Wo na rasta hai,na manjil hai na manzil ka nisan,
Phir bhi q mera udhar jaane ko jee chata hai.

Mery manjil hai yahi mera thikaana hai yahi,
Tum chale jaao, agar jane ko jee chata hai.

Bus bahut ho chuka cehere ka ulat fher ke ab,
Aaino se bhi mukar jaane ko jee chahta hai.

Koe deewaar ho deewaar nahi ban sakti,
Jab hawaon ka gujarna ko jee chata hai.

BY : Altaf zia
Altaf-zia.png

Paigaam Shayari


Agar hai zarf to pehlo me nikaal ke rakh.
Chiraag toot gaya hai to, dil ujaal ke rakh.

Kisy kisy ko ye thofa naseeb hota hai,
Tujhe jo derd mila hai, use sambhal ke rakh.

Warak warak tujhe lafjon ke phool hai rakhne,
Tu apne jehen k podho me tu jaan daalke rakh.

Ye doston ka ilaaka hai dushmano ka nahi,
Zia har ek kadam, apne dekh bhaal ke rakh.

BY : Altaf zia
Altaf-zia.png

Paigaam Shayari


Tere dar se mery nazar hati nahi.
Jabse juda hoon tujh se mery izzat ghati nahi.

Jo maangna hai aaj maang le khwaja ke dar se tu,
Phele kabhi na itny bheek yanha pe bti nahi.

Jo aata hai wo khaali haath jata nahi kabhi,
Waliyon me mere khwaja sa koe sakhi nahi.

Ahmad raza se jud gaye, to waliyon se Jud Gaye,
Sukr hai khuda ka ki mari hamaari matee nahi.

Khwaja , gous, siddiqeen se ristha jod lo,
Warna huzur khe denge, tum mere ummati nahi.

Jo diwaane hai. Unko hee Mubarak baad hai,
Gustakh-e-khwaja ki to hargij chhati nahi.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Zindagi Shayari


Dohara raha huun baat puraani kahi hui.
Tashveer tere ghar me thi meri lagi hui.

In bad naseeb aankhon ne dekhi hai baar baar,
Deewar me gareeb ki khwaish chuni hui.

Taaza gazal zaruri hai mhefil ke waste,
Sunta nahiin hai koe , dubara suni hui.

Muddat se koe dooshraa rheta hai ham nahi,
Darwaze par hamari hai takhti lagi hui..

Jab tak hai doar haath me tab tak ka khel hai,
Dekhi to hongi tum ne patangen kati hui.

Jis ki judai ne mujhe shayar bana diya,
Padhta hoon main ghazal bhi uski likhi hui.

Lagta hai jaise ghar men nahi hun me qaid hon,
Milti hai rotiyan bhi jahan par gini hui.

Saanson ke aane jaane pe chalta hai kaarobaar,
chuu ta nahi hai koe bhi haandi jlee hui.

ye zakhm ka nishaan hai jaayega der se,
Chhoot ti nahi hai jaldi se mhendi lagi hui.

BY : Munawwar Rana
Munawwar-rana.png



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech