gazal

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Zindagi Shayari


Wo mere paas aana chahta hai.
Magar koi bahana chahta hai.

Yon hee uljha nahi hai paaon mera,
Koi mujhko girana chahta hai.

Sar e bazaar tujhko laane waala,
Tery kimat ghatana chahta hai.

Barabar me wo aaya to samjha,
Wo mujh se aage jaana chahata hai.

Junoon to dekh, us taare ka aye sab,
Wo tujhko din banana chahata hai.

Hawa us par nazar rakkhe hai or wo,
Chirago ko jalana chahta hai.

Naeem us ka bigadega koe kya,
Khuda jisko banana chahata hai.

BY : Naeem Akhtar

Gam Shayari


Wo badal gaye hain to badal Jane do,
Isi bahane sahi unhen dil se nikal Jane do.

Wo sath they to bahut mushkilen thi,
Wo mere liye bala the, tal gai, tal Jane do

Unki marzi hai wo jab chahe chala jaye chorke
Aj jate hai to aj jayen, kal jate hain to kal Jane do

Na ummid karo unse koi na hasrat rakho,
Pighalti hai ummid ki sama, to pighal Jane do.

Lenge unse ek ek sitam ka badla zaroor,
Zara uves ke bigde hue halaat sambhal Jane do.

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Umeed Shayari


Wo badal raha hai to uska badalna achcha hoga kya
Ab soch raha hun me uske sath chalna achcha hoga kya

mil to jayegi kamyabi mujhko bhi kabhi na kabhi
Magar jo daur chal raha usme dhalna achcha hoga kya

Jin kanton ki chubhan ne raftar bada di chalne ki
Soch rae hain paon se un kanton ka nikalna achcha hoga kya

Wo barbad ho jaye.ho hee jaye meri bala se uves
Jo usne kiya hai gunah uski saza ka talna achcha hoga kya

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Zindagi Shayari


Ab to yahan sabko mera naam bura lagta hai.
Jo bhi karun me ab wahi kaam bura lagta hai

Bant diya dharm ke thekedaron ne kuch aise,
Kisi ko rahim bura to kisi ko ram bura lagta hai

Milne ki baat to door dekhna bhi pasand nahi
Soch soch kar aisi baton ka anjaam bura lagta hai

Jane kaise pal posh kar bada kiya jisko 
Aj usi ko ma baap ka har paigaam bura lagta hai

Jitni khuda ne likhi utni to zindagi jiyunga
Mere bin tum jite ho tera ye ilzaam bura lagta

Mehnat aur haram ki kamai me ye fark hai
Mehnat ki becheni achchi, haram ka aaram bura lagta hai

Kya kehke baithe the masnad pe uves wo
Ab Jo bhi kr hain unka har WO kaam bura lagta hai

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech