gazal

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Paigaam Shayari


Dil me basi hui hasrat ko baahar karna hai 
Ab to kaise bhi khud ko patthar karna hai

Ansu.tanhai. bekali. Bebasi. Jo v diya usne
Usko lautakar ye sab hisaab barabar karna hai

Dua v karunga padi zaroorat to wajifa v karunga
Par kaise v azad tujse apna muqaddar karna hai

Manzilen to ab qadam choomengi insha Allah
Bs ab apne alawa na kisi ko raahbar karna hai

Ab nahi armaan k bahut kuch ek sath mile "uves"
Ab qatra qatra jod k khud ko samandar karna hai

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Dard shayari


Khwaab palkon pe wo mere toulta hai.
Kon ander hai jo mujhse bolta hai.

Ruh tak se bhi mery apne hain waqif,
Raaz gairon pe mere kyun kholta hai.

Kab ka mera bhi zameer bik chuka hota,
Dil ka nigra sang mere dolta hai.

Aankhon ke raste kanhi gham bhe na jaayen,
Peene ke paani mein aansu gholta hai.

Zindagi ki dhoop se kyun thak gaya "chaand",
Aankhon se to chup hai par chera bolta hai.

BY : Mohammad Chand
Mohammad-chand.jpg

Paigaam Shayari


Dil me basi hui hasrat ko baahar karna hai,
Ab to kaise bhi khud ko patthar karna hai.

Ansu, tanhai, bekali, bebasi, Jo bhi diya usne,
Usko lautakar ye sab hisaab barabar karna hai.

Dua bhi karunga padi zaroorat to wajifa bhi karung,
Par kaise v azad tujse apna muqaddar karna hai.

Manzilen to ab qadam choomengi insha Allah,
Bas ab apne alawa na kisi ko raahbar karna hai.

Ab nahi armaan k bahut kuch ek sath mile "uves"
Ab qatra qatra jod k khud ko samandar karna hai

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Zindagi Shayari


Zindagi jab se bikharti reh gayi.
Justazu apni simatti reh gayi.

Lutf barish ka ameeron ne liya.
Chhat garebon ki tapakti reh gayi.

Ghar mitaaye kyon shajar ko kaat ke,
Aah parindon ki nikalti reh gayi.

Rizq to dawat me bikhra tha bahut,
Bhookh Baahar hi bilakhti reh gayi.

Bhookh se bacche tadap kar so gaye,
Raat bhar maa hee sisakti rhe gayi.

Dafna ke thejeeb ko kaise jiyon,
Sharm murde see akadti reh gayi.

Mout ke nazdeek bhi hum aa gaye,
Khwaish karbat badalti reh gayi.

Kyon hai tanha jo tha saaya daar paid,
Saaye ko maa khud hi tarasti reh gayi.

Kaisy badli mulk ki taqdeer "Chand",
Bande matram pe ulajhti rhe gayi.

BY : Mohammad Chand
Mohammad-chand.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech