gazal

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Paigaam Shayari


Mushkilon ke door se rahi abhi anjaan hai.
Saamne hain raste per beech mein toofan hai.

Jaan apni ham lutate aa rahe hain hum is mulk per.
Mulk ki khatir hamari nasl bhi qurbaan hai.

karz-e-mitti chukaon me kafan ko odkar,
Jaan lutaon mulk ki khatir yahi armaan hai.

Baant dete hain lahu ke naam per hamko yanha,
Nafrate, dange, hukumat ki yehi pehchaan hai.

Kaash dharmon ke guru ye seekh baaten mulk me,
Dharm, mazhab baad me pehle sabhi insan hai.

BY : Naseem Azmi
Naseem-Azmi.jpg

Mohabbat Shayari


Ek aawara si parchai ka saaya me hoon.
Tanha rehti hue tanhaai ka saaya me hoon.

Gam ke suraj ki tapish is ko na chu paayegi,
Apne masoom se ek bhai ka saya mein hoon.

Khelti hai jo tere jism ki shakhon se sada,
dekh mujhko usi purwaae ka saya mein hoon.

Me thakan hoon, tery raaton ke haseen lamhon ki,
Or tere jism ki anglaade ka saya me hoon.

Haq paraston ne aqeedat se mujhe chuma hai,
ye hai sacchai ke sacchai ka saya me hoon.

BY : Mohsin aaftab kelapuri
Mohsin-Aaftab-kelapuri.jpg

Dard shayari


Dil jala kar muskurana chhod de.
Bewajah mujhko rulana chhod de.

Khoon se lathpath mere dil ka jaha,
Dil pe wo churiyan chlana chhod de.

Jal nahi sakti wafa ab ishq ki,
Aag dil me tu lagana chhod de.

Maut se rishte mere mazboot hain,
Qatal se mujhko darana chhod de.

Neend mujhko raat me aati nahi,
Khwab mein mere tu aana chhod de.

Ho gaya mai hun abhi tanha bahut,
Zindagi tu aazmana chhod de.

Main nahin hun bewafa sun le zara,
Tohmaten mujh par lagana chhod de.

Aaib saare mit gaye hain ishq me,
Aaina mujhko dikhana chhod de.

Bewafa ko bhulkar tu aye 'naseem',
Ashq apne tu bahana chhod de.

BY : Naseem Azmi
Naseem-Azmi.jpg

Paigaam Shayari


Kuch naya kaam naye tour se karne ke lea,
Log mouka hee nahi dete sudharne ke lea.

Jaao jaa kar ke garibon ke dilon mein jhanko,
Kitni bechain tamannaye hain, marne ke lea.

Us pe marte ho to, phir duniya ki parwah kaisy,
Ishq hota hai miyaan had se guzarne ke lea.

Koe aasaani se phankaar nahi banta hai,
Muddate chaiye is fhan ko nikharne ke lea.

Muhu utha kar ke phir aae hai ye tauba tauba,
Shab judai ki mere ghar me, therne ke lea.

Kisi doshija ki zulfein ye nahi kismat hai,
Waqt lagta hai bahut, isko sawarne ke lea.

Aaj is baat ka ehsaas hua hai mujhko,
Khwaab Mohsin the mere, sirf bikharne ke lea.

BY : Mohsin aaftab kelapuri
Mohsin-Aaftab-kelapuri.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech