gazal

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Zindagi Shayari


Chale sarhad ki jaanib or chhati khol di hamne.
Badane par patang aaye to charkhi khol di hamne.

Pada rehene do apne boriye pe ham fakiron ko,
Fhati rhe jaayegi aankhen jo mutthi khol di hamne.

Tumhara naam aaya or ham taqne lage rasta,
Tumhaari yaad aaee or khidki khol di hamne.

Kanha taq boojh weshaakhi ka saaari zindagi dhote,
Uterte hee kue me aaj rassi khol di hamne.

Tumhare dukh uthaaye is leea phirte hain muddat se,
Tumhaare naam aaee thi jo chitthi khol di hamne.

BY : Munawwar Rana
Munawwar-rana.png

Paigaam Shayari


Baat sach kehne kee bebaak zubaan paae hai,
Saare apnon se isee baat par ladaai hai.

Zikr tum karte ho gardan ko jhuka ke jinka,
Unse to apni bhi barason se shanaasaee hai.

Maaf karte hee rahe hum bewafayi ab tak,
Guzre unki gali se chot ubhar aayi hai.

Usko dekhoon to mile dil ko sukoon sa kitna
Mera dilabar to nahi haan mera saudaae hai.

Aandhiyon hosla tum tod na paogee ab,
Meri himmat to mere jism ki parchhai hai.

Khwaab humne to kabhi dekhe nahin the unke,
Dil mein tasveer ye unkee kahaan se aayi hai.

saudaee = ishq mein deewana ya paagal ho jaana
shanaasaee = jaan pehchaan

BY : Mohammad Chand
Mohammad-chand.jpg

Dard shayari


Main gam-e-hijr tujhe yaar sunaun kaise,
Surkh hai aankh ise aur rulaun kaise.

Main nahi aaj mila ruth gayi hai mujhse,
Tu zara bol use yaar manaoon kaise.

Raat meri na kate yaad na dil se jaye,
Wo meri dhadkan hai use bhulaun kaise.

Main Abhi toot gaya paas nahi koi bhi,
Fir utha dard mujhe hai Ke dikhaun kaise.

Zindagi rooth gayi raas na aayi mujhko,
Main kisi aur ko apna banaun kaise.

BY : Naseem Azmi
Naseem-Azmi.jpg

Dard shayari


Tu mujhe jeene ka koi to sahara de de.
Saath rehne ka mujhe tu bhi ishara de de.

Main chala chhod kahi aur shehar se tere,
Aakhiri baar mujhe ek nazara de de.

Doob jaun na kahin bich bhawar mein yaro,
Haal be haal hua koi sahara de de.

Dard kaise mai judai ka kahu ab apne,
Wo mujhe phir na kahin zakhm dubara de de.

Chot gahri hai tu marham na laga zakhmo pe,
Husn ka paas mere baith nazara de de.

Roya dil mera bahut, paas nahi hai koi,
Dagmagati hui kashti ko kinara de de.

BY : Naseem Azmi
Naseem-Azmi.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech