paigaam shayari

paigaam shayari means people give message to world in form of sher o shayari. They give message related to life with paigaam shayari.

Paigaam Shayari


Uski kahani ka aham qirdaar ham honge

Hamko pata hai uske agle shikaar ham honge

Kahan tak denge ham apne be gunaah hone ki daleel
Jab tay ho gya pahle sabke gunahgaar ham honge

Lao khali kaghaz ham basiyat hi kr dete hain
Aage peeche jo bhi ho uske zimmedaar ham honge

Hamne jo nekiyan ki usne jahir ki khud ki
Usko batado uske sile k haqdaar ham honge

Uves" tum duaon me koi kami mat rakhna 
Insha Allah aane wale waqt k sardaar ham honge

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Paigaam Shayari


Aisi halat ho gai hai tujhse bichadne ke baad.

Jaise ped ki ho jati hai patte jhadne ke baad.

Abhi sulah karoge to kuch paa bhi loge.
Warna kuch na hoga  rishte bigadne ke baad

Aisi bhi kya qasam ,aisa bhi kaisa guroor
Pachtana ho jiska jameen me gadne k baad

Teri jafa ki kahani likh di hai mene
Ishq na karega koi use padne k baad

Zarasi baat ki itni badi saza pai hai
Ahsas ho raha hai ab sab ujadne k baad

Ab kahan waisi hasti ,ab kahan waisa imaan
Zamzam nikal pade edi ragadne ke baad

Ek sawal "uves" ko bechain karta rehta hai
Dhoka kyun diya usne mohabbat badne  baad


BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Paigaam Shayari


Ghabra rahi hai mery tabiyat pata karo.
Karta hai koun mujhse mohabbat pata karo.

Pardes meri saari jawani nigal gaya,
Kitni bachi hai aur zarurat pata karo.

Dunia hazar baar ye taana suna chuki,
Kab tak rahegi or ye gurbat pata karo.

Bhai ka katl bhai ke haathon kara diya,
Kya kya karegi or siyasat pata karo.

Ek nasamajh to khawaab me dunia khareed kar,
Kehta hai aasmaan ki kimat pata karo.

Hanfi ya hammali ki ye Maliq ya safhai,
Kisko milegi yaar ye jannat pata karo.

BY : Mohammad Ameen Faizawaadi
Mohammad-Ameen-Faizawaadi.jpg

Paigaam Shayari


आँख जो उनसे मिलाना रह गया,
बनते-बनते इक़ फ़साना रह गया.

हम चले आये भले परदेश में ,
आशियाँ अपना विराना रह गया.

गिरजा'घर, गुरुद्वारे, और मंदिर गये ,
अब फ़क़त मस्जिद में जाना रह गया.

हाथ तो मिलते मुसलसल ही रहे ,
बस गले से ही लगाना रह गया.

ज़र, जमीं, मजहब में उलझे यूँ सभी ,
जग ये बन के कत्लखाना रह गया.

साथ उसके भीगना बरसात में ,
याद बचपन का जमाना रह गया.

मर गई इंसानियत शाबान अब
बन के इन्सा वहशियाना रह गया

BY : Shaban Ali
Shaban-Ali.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech