Dharti ambar ek barabar, sona pital ek jaise.
Meri aankhon se dekho zamzam or gangajal ek jaise.
Jaisi karni waisi bharni, ant bhala to sab hee bhala,
Sabr ho chhahe, mhenat ho, wo dono ke phal ek jaise.
Tu hai mira jaisy to me dost sudama jaisa hoon,
Krishn ke dono diwane hain dono pagal ek jaise.
Jism tumhara khushbu khushbu, jisse milo ho wo khushbo,
Aath pehar hon mheke mheke, tum or sandal ek jaise.
Ishq ibadat, ishq hai pooja, ishq dua hai, ishq saza hai,
Ishq to hai ek aag ka dariya, ishq or daldal ek jaise.
Julf ghatayen, aankh pyaale, honth gulaabon jaise hain,
Jism dhanak ke jaisa, uska aanchal badal ek jaise.
Sikh isai muslim hindu, bharat maa ki aulaade,
lohni, christmas, eid diwali, khushi ke sab pal ek jaise.
Mohsin ki taqdeer me likha hai, jab der der phirna to,
Gaaon sher bhi ek jaise, hain shera jangal ek jaise.
BY :
Mohsin aaftab kelapuri