paigaam shayari

paigaam shayari means people give message to world in form of sher o shayari. They give message related to life with paigaam shayari.

Paigaam Shayari


Kuch naya kaam naye tour se karne ke lea,
Log mouka hee nahi dete sudharne ke lea.

Jaao jaa kar ke garibon ke dilon mein jhanko,
Kitni bechain tamannaye hain, marne ke lea.

Us pe marte ho to, phir duniya ki parwah kaisy,
Ishq hota hai miyaan had se guzarne ke lea.

Koe aasaani se phankaar nahi banta hai,
Muddate chaiye is fhan ko nikharne ke lea.

Muhu utha kar ke phir aae hai ye tauba tauba,
Shab judai ki mere ghar me, therne ke lea.

Kisi doshija ki zulfein ye nahi kismat hai,
Waqt lagta hai bahut, isko sawarne ke lea.

Aaj is baat ka ehsaas hua hai mujhko,
Khwaab Mohsin the mere, sirf bikharne ke lea.

BY : Mohsin aaftab kelapuri
Mohsin-Aaftab-kelapuri.jpg

Paigaam Shayari


Khulooso, pyaaro, mohabbat se baat karte hain.
Shareef log sharafat se baat karte hain.

BY : Mohsin aaftab kelapuri
Mohsin-Aaftab-kelapuri.jpg

Paigaam Shayari


Dil ki duniya par hukumat nahi milne wali.
Itni aasani se shohrat nahi milne wali.

Jinke seene me sulagte hai hawas ki aatish,
Aise logo me sharafat nahi milne wali.

Dosto apni jawani ki zara qadr karo,
Dosto phir se ye daulat nahi milne wali.

Teri dehleez se uth kar mai agar jaunga,
Sar chupane ko bhi phir chatt nahi milne wali.

BY : Mohsin aaftab kelapuri
Mohsin-Aaftab-kelapuri.jpg

Paigaam Shayari


Ladna, jhagadna, ruthna jakhmi tha dil magar,
Phir intezaar kyon mujhe kab ladoge tum.

Murda hai bastiyaan so gaye hain zameer taq,
kab yaar ban ke mard-e-mujahid uthhoge tum.

BY : Mohammad Chand
Mohammad-chand.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech