paigaam shayari

paigaam shayari means people give message to world in form of sher o shayari. They give message related to life with paigaam shayari.

Paigaam Shayari


Baat sach kehne kee bebaak zubaan paae hai,
Saare apnon se isee baat par ladaai hai.

Zikr tum karte ho gardan ko jhuka ke jinka,
Unse to apni bhi barason se shanaasaee hai.

Maaf karte hee rahe hum bewafayi ab tak,
Guzre unki gali se chot ubhar aayi hai.

Usko dekhoon to mile dil ko sukoon sa kitna
Mera dilabar to nahi haan mera saudaae hai.

Aandhiyon hosla tum tod na paogee ab,
Meri himmat to mere jism ki parchhai hai.

Khwaab humne to kabhi dekhe nahin the unke,
Dil mein tasveer ye unkee kahaan se aayi hai.

saudaee = ishq mein deewana ya paagal ho jaana
shanaasaee = jaan pehchaan

BY : Mohammad Chand
Mohammad-chand.jpg

Paigaam Shayari


Nahi milta yanha insaaf yeh kaisi adalat hai.
Rakho dil pe yanha kabhi khabison ki wakalat hai.

Hukumat so rahi usko nazar aata nahi koe,
Zara bahar kabhi dekho, machi kaisi qayamat hai.

Kare hum mulk ka soda, kabhi ye ho nahi sakta,
Hamare khoon me aisy, nahi koe bagawat hai.

Diya thejeeb ka roshan jalayenge abhi phir se,
Mohabbat se milen hum bas, yahi sabko hidayat hai.

BY : Naseem Azmi
Naseem-Azmi.jpg

Paigaam Shayari


Maza aata nahi pardes me, dekho kamaane me.
Bahut takleef hoti hai pareshani batane me.

Samjhte hain ki ghar wale, yaha par hai shajar koi,
Kahe kya pedo par paise nahi ugte zamane me.

BY : Naseem Azmi
Naseem-Azmi.jpg

Paigaam Shayari


Roz hota hai naya koee bavaal isee shahar mein.
Chor ban baithe hain ab to kotavaal isee shahar mein.

BY : Naseem Azmi
Naseem-Azmi.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech