Ek zamana guzar gaya hai qaraar nahi aaya.
Khiza to har pal Aai par mosam e bahaar nahi aaya.
Ye kaisa hunar tha Jo kam ik baar nahi aaya,
Barna q nazar koi sachchai ka tarafdaar nahi aaya.
Aisa to kai bar hua k wo aya hai rulane dil ko,
Lekin dil ko hasane wo zalim ek baar nahi aaya.
Abki bahaar me na jane kaisi chubhan si lagi mujhe,
Dekh tun na aaya to mosam bhi khushgawaar nahi aaya.
Duniya ko pane ki hasrat bhi rahi mayus mayus ,
Ek teri hasrat na rahi to hasraton pe v nikhaar nahi aaya.
Sehra ki khamoshiyan anjuman ki ranginiyan dono me,
"Uves" lagta hai tujhe pasnd inme koi yaar nahi aaya.
BY :
Mohammad Uves