zindagi shayari

zindagi shayari is use to share experience of life with shayari. People say shayari depend on their situations. If their life is nice they make Happy shayari if their life is in proble then they make sad poe

Zindagi Shayari


Mere maseeha mere dost o ahbaab saare.
Tod daale inhone he mere khwaab saare.

Bhool jao wo haweli, ab apni ana bachao,
Dene lage hain ab to tumko jawaab saare.

Ghalti hui k tumko apna samajh ke paala
Hoshyar kya hue ke mang rahe hisaab saare.

Itni ranjishen to raqibon me bhi nahi hoti,
Jabki tum to bulate they  bhai sahaab saare.

Mere dil pe Jo Gujarti hai wo tum kya jano
Tum to leke aagaye wasiyat ki kitaab saare

"Uves" ye uljhan ab kaise suljhegi batao
Sawal batate nahi aur mang rahe wo jawaab saare

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Zindagi Shayari


Tallook kon rakhta hai, kisy nakaam se lakin,
Mile jo kamyabi, saare rishte bol padte hain.

Mery khubi pe rehte hain yahan ahl-e-zuban khamosh,
Mere aib pe charcha ho to gunge bol padte hain.

BY : Gumnaam Shayar

Zindagi Shayari


Zindagi jab se bikharti reh gayi.
Justazu apni simatti reh gayi.

Lutf barish ka ameeron ne liya.
Chhat garebon ki tapakti reh gayi.

Ghar mitaaye kyon shajar ko kaat ke,
Aah parindon ki nikalti reh gayi.

Rizq to dawat me bikhra tha bahut,
Bhookh Baahar hi bilakhti reh gayi.

Bhookh se bacche tadap kar so gaye,
Raat bhar maa hee sisakti rhe gayi.

Dafna ke thejeeb ko kaise jiyon,
Sharm murde see akadti reh gayi.

Mout ke nazdeek bhi hum aa gaye,
Khwaish karbat badalti reh gayi.

Kyon hai tanha jo tha saaya daar paid,
Saaye ko maa khud hi tarasti reh gayi.

Kaisy badli mulk ki taqdeer "Chand",
Bande matram pe ulajhti rhe gayi.

BY : Mohammad Chand
Mohammad-chand.jpg

Zindagi Shayari


Qatal karke wo kafan de kar gaya hai.
Ruh per meri bajan de kar gaya hai.

Lout kar aaonga sarhad se kisi roz,
Haath pe maa ke vachan de kar gaya hai.

Haath me laathi badan se lipti dhoti,
Kin kameeno ko batan de kar gaya hai.

Aag se gulshan jalaya tha usi ne,
Haath mein jiske chaman de kar gaya hai.

Khwaab ulfat ke dikha kar raat zaalim,
Aankhon me chubhti jalan de kar gaya hai.

Muddaton hamne sambhala raaston ko,
Gard se lipti thakan de kar gaya hai.

Aasman ki mehfilon mein doobe chaand ko,
Khamoshi ka kuch chalan de kar gaya hai.

BY : Mohammad Chand
Mohammad-chand.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech