Shayari, Urdu Poetry, Urdu Shayari

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Romantic Shayari


Badi sook hai wo ladki bade kaam kar rahi hai.
Me nazar bacha raha hoon wo salam kar rahi hai.
Wo Kabhi nazar uthake wo kabhi nazar jhukake,
Kabhi subha kar rahi hai kabhi shaam kar rahi hai.

BY : Hashim Firozabadi
Hashim-Firozabadi.png

Zindagi Shayari


Dohara raha huun baat puraani kahi hui.
Tashveer tere ghar me thi meri lagi hui.

In bad naseeb aankhon ne dekhi hai baar baar,
Deewar me gareeb ki khwaish chuni hui.

Taaza gazal zaruri hai mhefil ke waste,
Sunta nahiin hai koe , dubara suni hui.

Muddat se koe dooshraa rheta hai ham nahi,
Darwaze par hamari hai takhti lagi hui..

Jab tak hai doar haath me tab tak ka khel hai,
Dekhi to hongi tum ne patangen kati hui.

Jis ki judai ne mujhe shayar bana diya,
Padhta hoon main ghazal bhi uski likhi hui.

Lagta hai jaise ghar men nahi hun me qaid hon,
Milti hai rotiyan bhi jahan par gini hui.

Saanson ke aane jaane pe chalta hai kaarobaar,
chuu ta nahi hai koe bhi haandi jlee hui.

ye zakhm ka nishaan hai jaayega der se,
Chhoot ti nahi hai jaldi se mhendi lagi hui.

BY : Munawwar Rana
Munawwar-rana.png

Mohabbat Shayari


Na jaane ye kaisy khumari dikhti hai.
Pagal hone ki taiyaari dikhti hai.

Jab se mila hoon tumse mein ae jaane jaan,
Jis simt bhi dekhoon surat tumhari dikhti hai.

Mere haal ko dekh kar, logon ne ye kehe hee diya,
Deewano see ab halat hamari dikhti hai.

Jab se hua hai, ek pal k liye aaram nahi,
Ye ishq to yaaron ek bimari dikhti hai.

Raat ko dekho, subah dekho, shaam ko dekhon,
Jab bhi dekho ae jaane jaan, tu bahut hee pyari dikhti hai.

BY : Ziya Ansari
IMG_20141019_193142562.jpg

Mohabbat Shayari


Ishq ka boojh uthate huai thak jaate hain.
Ham tera naam chupate huai thak jaate hain.

BY : A M Turaz



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech