Wo Mera naam likhna chahta tha apne naam ke peeche.
Magar usne chhod diya mujhko ek anjaan ke peeche.
Mere cehere ki hasi dekh kar mere halaat ka andaaja na lagao,
bahut sa derd chupa hai mery is muskaan ke peeche.
Bus itny see he dastaan mery barbaadi ki,
ke khud ko kar liya tabha hamne ek insaan ke peeche.
Awara, Majno, diwana kaha jamaane ne,
Kya kuch na suna hamne, is dil-e-nadaan ke peeche.
Mery kaamyaabi ko kismat ka naam na do yaaron,
Bahut si kurbaaniya chupi hai, mere is aaraam ke peeche.
Jab se laai hai "zia" kuch logo ki sacchai zamane ke saamne,
tab se pad gaye hain kuch log mery jaan ke peeche.
BY :
Ziya Ansari