Shayari, Urdu Poetry, Urdu Shayari

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Zindagi Shayari


Ye alag ke wo meri baat se sahmat nahi tha.
Magar wo janta tha ke me galat nahi tha.
Wo mere ahesaan me duba tha sar se paon tak,
wo jo bhi tha kabhi khud ki badaulat nahi tha.

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Zindagi Shayari


Wo mere paas aana chahta hai.
Magar koi bahana chahta hai.

Yon hee uljha nahi hai paaon mera,
Koi mujhko girana chahta hai.

Sar e bazaar tujhko laane waala,
Tery kimat ghatana chahta hai.

Barabar me wo aaya to samjha,
Wo mujh se aage jaana chahata hai.

Junoon to dekh, us taare ka aye sab,
Wo tujhko din banana chahata hai.

Hawa us par nazar rakkhe hai or wo,
Chirago ko jalana chahta hai.

Naeem us ka bigadega koe kya,
Khuda jisko banana chahata hai.

BY : Naeem Akhtar

Gussa shayari


Wo chale gaye chorke hamko, to jane do unka malal kyon.
Jo apna tha hee nahi, uski baten kyon uska khayal kyon.
Wo jaisa jeeta hai jeene do uski ab fiqr kya karna hai,
Wo ab kaisa hoga, honton pe uske liye ye sawal kyun.

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Dard shayari


ना हिस्से में मुसाफिर के कोई दीवार ओ दर आया,
मुकद्दर हिज्र लेकर जब मुखालिफ में उतर आया.

चरागों की मुझे यूँ ही नहीं कारीगरी आई,
जलाया आशियाँ अपना तो हाथों में हुनर आया.

तेरी इस बेरुखी से बस मेरा दिल ही नहीं टूटा,
तेरी इस बेवफाई से कलेजे तक असर आया.

पिला दे तल्खियाँ सारे ज़माने की मुझे साक़ी,
मेरा फिर ज़िंदगी जीने का ये जज़्बा उभर आया.

बना कर अम्न का कासिद जिसे आदम की बस्ती में,
परिंदा मैंने जो भेजा था खूँ में तर ब तर आया.

मुकद्दर हम अमीन अपना किसी दिन आजमाएंगे,
दरख्तों में हमारे सब्र के कितना समर आया.

BY : Mohammad Ameen Faizawaadi
Mohammad-Ameen-Faizawaadi.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech