Ab to yahan sabko mera naam bura lagta hai.
Jo bhi karun me ab wahi kaam bura lagta hai
Bant diya dharm ke thekedaron ne kuch aise,
Kisi ko rahim bura to kisi ko ram bura lagta hai
Milne ki baat to door dekhna bhi pasand nahi
Soch soch kar aisi baton ka anjaam bura lagta hai
Jane kaise pal posh kar bada kiya jisko
Aj usi ko ma baap ka har paigaam bura lagta hai
Jitni khuda ne likhi utni to zindagi jiyunga
Mere bin tum jite ho tera ye ilzaam bura lagta
Mehnat aur haram ki kamai me ye fark hai
Mehnat ki becheni achchi, haram ka aaram bura lagta hai
Kya kehke baithe the masnad pe uves wo
Ab Jo bhi kr hain unka har WO kaam bura lagta hai
BY :
Mohammad Uves