Shayari, Urdu Poetry, Urdu Shayari

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Zindagi Shayari


Mere maseeha mere dost o ahbaab saare.
Tod daale inhone he mere khwaab saare.

Bhool jao wo haweli, ab apni ana bachao,
Dene lage hain ab to tumko jawaab saare.

Ghalti hui k tumko apna samajh ke paala
Hoshyar kya hue ke mang rahe hisaab saare.

Itni ranjishen to raqibon me bhi nahi hoti,
Jabki tum to bulate they  bhai sahaab saare.

Mere dil pe Jo Gujarti hai wo tum kya jano
Tum to leke aagaye wasiyat ki kitaab saare

"Uves" ye uljhan ab kaise suljhegi batao
Sawal batate nahi aur mang rahe wo jawaab saare

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Romantic Shayari


Tumse bichadte to sare armaan kho dete.
Ek tumko hee nahi sara jahaan kho dete.

Milne ko to mil gai bulandi thodi bahut ,
Aur bulandi tak jate gar apna imaan kho dete.

isliye khud se juda kar diya usko khud hee,
Uske sath gar rehte to apni pehchaan kho dete

Meri baton se kai log zinda dili seekhe hain,
Me gar kuch na kehta to wo apni jaan kho dete.

Achcha kiya Jo ap meri batai rah par chale,
Warna ap pairon se zami sar se aashmaan kho dete

"Uves" dil ka khel zara soch samajhkar khelna,
Kyunki aksar log is khel me apni muskaan kho dete.

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Paigaam Shayari


Dil me basi hui hasrat ko baahar karna hai 
Ab to kaise bhi khud ko patthar karna hai

Ansu.tanhai. bekali. Bebasi. Jo v diya usne
Usko lautakar ye sab hisaab barabar karna hai

Dua v karunga padi zaroorat to wajifa v karunga
Par kaise v azad tujse apna muqaddar karna hai

Manzilen to ab qadam choomengi insha Allah
Bs ab apne alawa na kisi ko raahbar karna hai

Ab nahi armaan k bahut kuch ek sath mile "uves"
Ab qatra qatra jod k khud ko samandar karna hai

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg

Paigaam Shayari


Dil me basi hui hasrat ko baahar karna hai,
Ab to kaise bhi khud ko patthar karna hai.

Ansu, tanhai, bekali, bebasi, Jo bhi diya usne,
Usko lautakar ye sab hisaab barabar karna hai.

Dua bhi karunga padi zaroorat to wajifa bhi karung,
Par kaise v azad tujse apna muqaddar karna hai.

Manzilen to ab qadam choomengi insha Allah,
Bas ab apne alawa na kisi ko raahbar karna hai.

Ab nahi armaan k bahut kuch ek sath mile "uves"
Ab qatra qatra jod k khud ko samandar karna hai

BY : Mohammad Uves
IMG_20150322_151304.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech