Zindagi jab se bikharti reh gayi.
Justazu apni simatti reh gayi.
Lutf barish ka ameeron ne liya.
Chhat garebon ki tapakti reh gayi.
Ghar mitaaye kyon shajar ko kaat ke,
Aah parindon ki nikalti reh gayi.
Rizq to dawat me bikhra tha bahut,
Bhookh Baahar hi bilakhti reh gayi.
Bhookh se bacche tadap kar so gaye,
Raat bhar maa hee sisakti rhe gayi.
Dafna ke thejeeb ko kaise jiyon,
Sharm murde see akadti reh gayi.
Mout ke nazdeek bhi hum aa gaye,
Khwaish karbat badalti reh gayi.
Kyon hai tanha jo tha saaya daar paid,
Saaye ko maa khud hi tarasti reh gayi.
Kaisy badli mulk ki taqdeer "Chand",
Bande matram pe ulajhti rhe gayi.
BY :
Mohammad Chand