Wo meri haalat e tanhai ki baat karta hai.
Kaisa pagal hai apni ruswai ki baat karta hai.
Jise samajhna har kisi k bas ki baat nahi,
Wo us lehje aur gahrai ki baat karta hai.
Mujhse bichhad kar thoda to wo bhi mujhe yaad karta hai,
Han ye alag k samne aane par parai si baat karta hai.
Bichadne ki chahat to lagta hai bahut din se hai usko,
Warna kyu wo milne par sirf judai judai ki baat karta hai.
Us imtehaan se v guzar gai zindagi jo kabhi socha nahi,
Kese bataye tumhe ab ye dil kis khudai ki baat karta hai.
Apne maqsad mein wo kamyab kese hote bhala,
Khuda bhi dekhta hai ke kaun bhalaai burai ki baat karta hai.
Mit gaye har rishte toot gaye har bandhan ab to,
Uves tu kyun ab un rishton ki bharpai ki baat karta hai.
BY :
Mohammad Uves