Shayari, Urdu Poetry, Urdu Shayari

Shayarionlove.com is fresh shayari, urdu poetry website for internet user. We provide sher o shayari , Urdu shayari on several topic. We update our website periodically with fresh shayari thats why you find unique and latest sher o shayari on Shayarionlove.com

Paigaam Shayari


Ye hindustan hai sahab gazab ke log rehte hain.
Bade hee mukhtalif rango nasab ke log rehte hain.
Abhi zinda bahut urdu zaban ke bolne wale,
Yahan har Goshe me ab bhi adab ke log rehte hain.

BY : Naseem Azmi
Naseem-Azmi.jpg

Paigaam Shayari


Mushkilon ke door se rahi abhi anjaan hai.
Saamne hain raste per beech mein toofan hai.

Jaan apni ham lutate aa rahe hain hum is mulk per.
Mulk ki khatir hamari nasl bhi qurbaan hai.

karz-e-mitti chukaon me kafan ko odkar,
Jaan lutaon mulk ki khatir yahi armaan hai.

Baant dete hain lahu ke naam per hamko yanha,
Nafrate, dange, hukumat ki yehi pehchaan hai.

Kaash dharmon ke guru ye seekh baaten mulk me,
Dharm, mazhab baad me pehle sabhi insan hai.

BY : Naseem Azmi
Naseem-Azmi.jpg

Paigaam Shayari


Dharti ambar ek barabar, sona pital ek jaise.
Meri aankhon se dekho zamzam or gangajal ek jaise.

Jaisi karni waisi bharni, ant bhala to sab hee bhala,
Sabr ho chhahe, mhenat ho, wo dono ke phal ek jaise.

Tu hai mira jaisy to me dost sudama jaisa hoon,
Krishn ke dono diwane hain dono pagal ek jaise.

Jism tumhara khushbu khushbu, jisse milo ho wo khushbo,
Aath pehar hon mheke mheke, tum or sandal ek jaise.

Ishq ibadat, ishq hai pooja, ishq dua hai, ishq saza hai,
Ishq to hai ek aag ka dariya, ishq or daldal ek jaise.

Julf ghatayen, aankh pyaale, honth gulaabon jaise hain,
Jism dhanak ke jaisa, uska aanchal badal ek jaise.

Sikh isai muslim hindu, bharat maa ki aulaade,
lohni, christmas, eid diwali, khushi ke sab pal ek jaise.

Mohsin ki taqdeer me likha hai, jab der der phirna to,
Gaaon sher bhi ek jaise, hain shera jangal ek jaise.

BY : Mohsin aaftab kelapuri
Mohsin-Aaftab-kelapuri.jpg

Dard shayari


Dil jala kar muskurana chhod de.
Bewajah mujhko rulana chhod de.

Khoon se lathpath mere dil ka jaha,
Dil pe wo churiyan chlana chhod de.

Jal nahi sakti wafa ab ishq ki,
Aag dil me tu lagana chhod de.

Maut se rishte mere mazboot hain,
Qatal se mujhko darana chhod de.

Neend mujhko raat me aati nahi,
Khwab mein mere tu aana chhod de.

Ho gaya mai hun abhi tanha bahut,
Zindagi tu aazmana chhod de.

Main nahin hun bewafa sun le zara,
Tohmaten mujh par lagana chhod de.

Aaib saare mit gaye hain ishq me,
Aaina mujhko dikhana chhod de.

Bewafa ko bhulkar tu aye 'naseem',
Ashq apne tu bahana chhod de.

BY : Naseem Azmi
Naseem-Azmi.jpg



©:2014 shayarionlove.com Powered by: Cyanic infotech